Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics


Warning: Undefined array key "tie_hide_meta" in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/parts/meta-post.php on line 3

Warning: Trying to access array offset on value of type null in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/parts/meta-post.php on line 3

Noha Title Qatl Ali Hogaye Ramzan Main
Noha Artist Mesum Abbas
Click Here To Download Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics

Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics

Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics In Urdu And Roman Urdu

Shab Chaak Garebaa’n Sehar Girya Kuna Hai
Makhlooq E Khuda Maiyel E Faryad O Fughaa’n Hai
Maa Bain Zamee’n Aasmaa’n Mehshar Ka Samaa’n Hai
Uneesween Ramzan Ka Ye Haal Bayaa’n Hai
Taareekh Ye Wo Hai Jo Qayamat Se Nahi Kam
Aye Momino’n Sar Pito Karo Giriya O Matam

INNA LILLAHE WA INNA ILAIHE RAJEEOON

Ya Ali Ya Aeliya (as) X 4

Qatl ALI Ho Gaye Ramzan Main
Dard Hai Jibreel Ke Ailaan Mein

1) Masjid E Kufa Se Jab Ghum Ki Ye Aayi Khabar
Bint E ALI Ro Pari Seena O Sar Peet Kar
Kufe Mein Ek Shor Tha… YA ALI YA AELIYA
Ho Gaya Matam Bapa… YA ALI YA AELIYA
Kis Ne Ye Dhaai Jafa… YA ALI YA AELIYA
Ghum Hai Bapa Khana E Yazdaan Mein

2) Shabbar O Shabbir Se Behno Ne Rokar Kaha
Dekho To Ja Kar Zara Kyu Hai Ye Aah O Buka
Aati Hai Har Su Sada… YA ALI YA AELIYA
Ghum Hai Ye Sab Se Bara… YA ALI YA AELIYA
Haye Ghazab Ho Gaya… YA ALI YA AELIYA
Hashr Bapa Hai Dil E Viraan Mein

3) Daur Ke Masjid Gaye Shabbar O Shabbir Jab
Baap Ko Is Haal Mein Dekha Ke Haaye Ghazab
Beto Ne Ro Kar Kaha… YA ALI YA AELIYA
Kyu Huye Hum Se Khafa… YA ALI YA AELIYA
Khoon Jo Baha Aapka… YA ALI YA AELIYA
Deen E MOHAMMAD Bhi Hai Nuqsaan Mein

4) Baap Ko Le Kar Gaye Ghar Mein Jo Dono Pisar
Pairo’n Mein Baithi Koi, Koi Sambhale Thi Sar
FIZZA Ki Aayi Sada… YA ALI YA AELIYA
Jab Se Ye Sadma Mila… YA ALI YA AELIYA
Dil Ka Sukoo’n Lut Gaya… YA ALI YA AELIYA
Sang Hai Ya Dil Seena E Insaan Mein

5) Kufe Ke Bewa Yateem Parhte Hain Ye Marsiya
Koi Sahara Nahi Maula Tumhare Siwa
Ab Ye Musibat Zadaa… YA ALI YA AELIYA
Kaise Jiyenge Bhala… YA ALI YA AELIYA
Aap The Ghum Ki Dawa… YA ALI YA AELIYA
Nauha Hai Ye Shehar E Bayabaan Mein

6) Nauha Hai KULSOOM Ka Kis Se Main Puchu Bhala
Kyu’n Bin E Muljim Ne Ki Baba Ye Tum Par Jafa
Jurm Na Koi Khata… YA ALI YA AELIYA
Zulm Ki Hai Inteha… YA ALI YA AELIYA
Kunba Tarapne Laga… YA ALI YA AELIYA
Khaak Hai Balon Mein Garebaan Mein

7) Rehmaton Aur Barkaton Wala Mahina Ye Tha
Jis Mein Mere Baba Ka Khoon Bahaya Gaya
Rehmatain Mehwe Buka… YA ALI YA AELIYA
Barkatian Mehwe Buka… YA ALI YA AELIYA
Nematain Mehwe Buka….YA ALI YA AELIYA
Bughz Jo Tha Qalb E Musalman Main

8) “Mazhar” O “Mesum” Ne Ye Keh Ke Uthaya Qalam
Eid Se Pehle Mila AAL E MUHAMMAD Ko Ghum
Bibiyo’n Ka Marsiya… YA ALI YA AELIYA
Aaj Se Hai Ibteda… YA ALI YA AELIYA
Imtehaan E Karbala… YA ALI YA AELIYA
Nauha Hai MAULA AS Ke Yateemaan Mai

QATL ALI HO GAYE RAMZAN MAIN


Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics

Qatl Ali Hogaye Ramzan Main is one of the best Noha by Mesum Abbas.

You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Qatl Ali Hogaye Ramzan Main

Read or download lyrics of Qatl Ali Hogaye Ramzan Main in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics
  • Lyrics of Qatl Ali Hogaye Ramzan Main
  • Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics Download
  • Download Lyrics of Qatl Ali Hogaye Ramzan Main
  • Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics By Mesum Abbas

NaatSharif.org brings to you "Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics Audio" by artist Mesum Abbas. To Download Qatl Ali Hogaye Ramzan Main Lyrics in MP3, simply click the three vertical dots on the mp3 player and then download.

With NaatSharif.org, you will not only enjoy your favorite MP3 Naats, but you will also have access to our best playlists such as Punjabi Naats, Qawwalies, Nasheeds, Nohay and Manqabats.

Disclaimer:
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.