Warning: Undefined property: WP_Error::$term_id in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/functions/breadcrumbs.php on line 225

Warning: Undefined property: WP_Error::$term_id in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/functions/breadcrumbs.php on line 226

Maikhana Chahiye Lyrics


Warning: Undefined array key "tie_hide_meta" in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/parts/meta-post.php on line 3

Warning: Trying to access array offset on value of type null in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/framework/parts/meta-post.php on line 3

Kalam Title Maikhana Chahiye
Kalam Artist Muhammad Saime
Click Here To Download Maikhana Chahiye Lyrics

Maikhana Chahiye Lyrics

Saghar Ki Aarzu Hai Na Paimana Chahiye
Bas Ik Nigaah-e-murshid-e-maiḳhana Chahiye (Bedam)

Yeh Maikada Hai Shaikh-e-haram Apni Raah Le
Kam-zarf Ko Idhar Kabhi Ana Na Chahiye (Samie)

Samajh Mein Jis Ko Aata Hai Maqam-e-rind-o-paimana
Wohi To Sidq-e-dil Se Shaikh G Aata Hai Maikhana (Samie)
Kam-zarf Ko Idhar Kabhi Ana Na Chahiye

Peeni Hai Pijiye Magar Itna Dheyaan Rahe
Peenay Ke Baad Hosh Mein Ana Na Chahiye (Samie)

Mehv-e-tasbeeh Hi To Sab Hain Magar Idraak Kahan
Zindagi Khud Hi Ibadat Hai Magar Hosh Nahin
Keh Gayi Kaan Mein Aa Kar Tere Daman Ki Hawa
Sahib-e-hosh Wohi Hai Keh Jise Hosh Nahi (Jigar)
Peene Ke Baad Hosh Mein Ana Na Chahiye

Jis Zindagi Mein Saqi Tera Zikr Hi Na Ho
Behtar Hai Us Hayat Se Mar Jana Chahiye (Samie)

Mar Jana Chahiye … Chahiye
Mar Jana Chahiye

Aray Marne Se Pesh-tar … Tujhe
Mar Jana Chahiye … Chahiye (Samie)
Mar Jana Chahiye

Marta Nahi Hai Koi Kisi Ke Firaaq Se
Ye Keh Ke Mar Gaya Koi Aashiq Firaaq Se (Samie)

Mar Jana Chahiye … Chahiye
Mar Jana Chahiye

Yeh Aastan-e-yaar Hai Sehn-e-haram Nahi
Jab Rakh Diya Hai Sar To Uthana Na Chahiye (Asghar)

Fakhr-e-jahaan Hai Saqiya Tera Waqar Bhi
Bande Bhi Tujh Se Raazi Hain Parwardigaar Bhi
Qurban Tujh Pe Gardish-e-lail-o-nahaar Bhi
Qabzay Mein Mai-parast Bhi Taa’at Guzaar Bhi
Fazl-e-Khuda Se Dono Jagah Ehtiram Hai
Saqi Tu Maikade Mein, Haram Mein Imam Hai (Qamar)

Ay Saqi-e-maikhana Bhar De Mera Paimana
Ghanghor Ghata Hai Ya Udta Hua Maikhana (Hashr)
Barsaat Ki Hawa-e-moattar Ka Wasta
Maikhana Khol Saqi-e-Kaosar (S.A.W.W.) Ka Wasta (Josh)
Jata Hai Mujh Se Mera Zamana Shabab Ka
Ay Peer-e-mughaan La Mera Sheesha Sharab Ka (Samie)

Har Shae Se Barh Ke Taahir-o-at’har Ho Wo Sharab
Misl-e-gul-e-bahisht-e-moattar Ho Wo Sharab
Maqbool-e-bargaah-e-Payambar (SAWW) Ho Wo Sharab
Maddah Jis Ka Khaliq-e-Akbar Ho Wo Sharab
Jis Ka Kahin Nishan Na Ho Duniya-e-zisht Mein
Ya Tere Maikaday Mein Mile Ya Bahisht Mein (Qamar)

Saqi Hain Jis Ke Shah-e-Wilayat (A.S.) Wohi Sharab
Jo Ehl-e-Bait (A.S.) Ki Hai Mohabbat Wohi Sharab
Us Khaas Mai Ka Jam Jo Mash’hoor-e-aam Hai
Jis Ko Piye Baghair Ibaadat Haraam Hai (Qamar)
Itni Si Aarzu Hai Shehanshah-e-Karbala (A.S.)
Lo Kar Diya Bayaan Sar-e-aam-o-barmala (Samie)


Maikhana Chahiye Lyrics

Maikhana Chahiye is one of the best Kalam by Muhammad Saime.

You can listen this Kalam online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Maikhana Chahiye

Read or download lyrics of Maikhana Chahiye in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Maikhana Chahiye Lyrics
  • Lyrics of Maikhana Chahiye
  • Maikhana Chahiye Lyrics Download
  • Download Lyrics of Maikhana Chahiye
  • Maikhana Chahiye Lyrics By Muhammad Saime

Warning: Undefined property: WP_Error::$term_id in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/single.php on line 71

Warning: Undefined property: WP_Error::$term_id in /home/u497277975/domains/naatsharif.org/public_html/wp-content/themes/sahifa/single.php on line 72

NaatSharif.org brings to you "Maikhana Chahiye Lyrics Audio" by artist . To Download Maikhana Chahiye Lyrics in MP3, simply click the three vertical dots on the mp3 player and then download.

With NaatSharif.org, you will not only enjoy your favorite MP3 Naats, but you will also have access to our best playlists such as Punjabi Naats, Qawwalies, Nasheeds, Nohay and Manqabats.

Disclaimer:
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.